3G Android Phone Mein Reliance Jio 4G SIM Kaise Use Kare

How to use reliance jio sim in 3G android phone – Friends jaisa ki aap jante honge ki Reliance ne 4G handset ke liye Reliance Jio SIm launch kiya hai. Is SIM se free unlimited 4G internet, calling and SMS hota hai. Lekin ye sim sirf 4G handset me working hai.
Aaj mai apko batunga kaise 3G android smartphone me bhi Reliance jio sim use kiya jata hai. Ab aap JIO sim ko 3G android device me insert karke free calling and Internet use kar sakte hai.




Isye pahle mene ek trick batya tha jisme Reliance SIM free of cost kaise purchsae kiya jata hai. Lekin aaj Reliance JIO sim ko 3G android smartphone me use karne ke bare me hai. Kya aap 3G android phone ko 4G banane ke bare me soch rahe hai? Yadi ha, toh aap galat soch rahe hai? Apko sirf Engineering Mode me jakar 4G network select karna hai.

3G phone Me Reliance Jio SIM kaise use kare


Ye method thora risky hai, islye 3G android phone me reliance jio sim khud ke risk pe kare.
1 . Sabse pahle apne android device me MTK Engineering Mode app download and Install kare
2 . Ab application ko open kare. Phir MTK settings me jaye aur preffered network option select kare.
3 . Network me  4G LTE/WCDMA/GSM select kare aur save kare. Phir phone ko restart kare.
4 . Ab upar ke steps ko complete karne ke baad JIO sim ko apne 3G handset me insert kare.
5 . Congratulations !!!! apke 3G phone me bhi JiO sim support kar raha hai.
Ab aap apne 3G phone me unlimited 4G internet use kar sakte hai. Lekin aap kisi ko call nahi kar sakte hai. Kyunki JIO sim me call karne ke liye device ko VOLTE features chahye. Friends 3G phone me JIO SIm support karne ke liye ye sabse easy method tha.

2 comments:

Powered by Blogger.